Yaaaaar mujhe EWS certificate ki asal mein zarurat hai. Annual combined family income ₹2,40,000 hai. 4 family members hain. Par certificate ki eligibility ke liye ghar ka size bhi dekhte hain. Hamare ghar ka size 1306 sq ft hai. Eligibility ke liye 1000 sq ft hona chahiye tha.

Mere ghar ke 306 sq ft zyada hone se meri gareebi kaise kam hojayegi? Ye kaisa rule hai? Na hamare paas koi agricultural zameen hai.

Aur na hi koi residential plot.

Bas ek chota sa ghar aur saal ke 2,40,000 rupaye. Aur wo ghar ki value bhi kuch nahi kyunki mai ek chhote se kasbe se hoon na ki koi bade sheher se.